Tuesday, December 28, 2010

Random collection of 2010

I have nothing else to do.....so here is something that i read. Now, you read it with your heart. If you do, i am sure you will enjoy! Kash, especially for you! Missing you people alot :(
_______________________________________________________________________________

Yeh lamha fikr-o-gham ka guzer kyun nahi jata
Akhir ko hai pemana bhar kyun nahi jata

Aata hai kucch yaqeen mager badguman bhi hoon
Maazi se jo mila hai asar kyun nahi jata

Usne bare khuloos se yeh kehdiya
Jeena hai nagawar tou marr kyun nahi jata

Nakaam hasraton ka tasalsul nahi toota
Jane mager yeh shouq-e-safer kyun nahi jata

Mana ke iss qader nahi per kucch tou hai AZIZ
Woh shakhs khayalon se utar kyun nahi jata
_________________________________________________________________________________


Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai
Bikhhar ke us se main bas es liye nahi bikhra
Wo keh gaya tha; yehi waqt terey imtehaan ka hai
_________________________________________________________________________________

chaara nahin koi jalte rehne ke siwaaa
saanche mein fana ke dhalte rehne ke siwaa
Ai shama, teri hayaat-e-faani kya hai
jhonka khaane aur sambhalhe rehne ke siwaa ~Yaas yagana


Baaz auqaat kisi aur ke milne se Adam
apni hasti se mulaaqat bhi ho jaati hai


KaThin hai raah guzar Thodi der saath chalo
bahut kaDa hai safar Thodi der saath chalo
tamaam umar kahaaN koi saath deta ha
maiN jaanta huN magar Thodi der saath chalo


meri taufeeq bhi kam hai, meri auqhaat bhi kam
Kua zaroori hai ke woh aankh 'mujh' ko tole? -raj kumar kailash
__________________________________________________________________________________
jis din huaa paThaan ke murge ka intaqaal

daavat ki maulavi ki tab aaya use Khayaal
murdaar murG ki hui mullaah ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, Gaalib huaa jalaal
kahane lage khilaaoge mam gosht?
tum ko nahin zaraa bhi shariyat ka kuchh Khayaal
murdaar Gosht to shariyat mein hai haraam
jab tak na zibaah kijiye, hota nahin halaal
fatawa jab apana maulavi saahab suna chuke
jhunjhalaa ke Khan ne kiyaa tab un se ye sawaal
kaisi hai aap ki ye shariyat bataaiye
bande ko kar diya hai Khuda se bhi baa-kamaal
allaah jis ko maar de, ho jaaye vo haraam
bande ke haath jo mare, ho jaaye vo halaal - girgit ahmedabadi
_________________________________________________________________________________

Har ek dil mein kibre hasti dekha
Har ek sar mein shor-e-masti dekha
Paai na kahin Khuda parasti humne
Har cheez mein range khud parasti dekha

Khafa bhi woh tha, tark-e-taa'ulluq bhi kiya usne
magar ek umar se meri pashemaani nahi jaati
_________________________________________________________________________________

Chalne ka hausla nahi, rukhna muhal kardiya
Ishq ke is safr nai tou, mujhe nidhal kardiya
Milte hui dillon ke beech, aur tha faisla koi
Us ne magar bichhadte waqt,Aur sawwal kar diye
Ai meri gul zameen tujhe cha thi ek kitaab ki
Ahle kitaab ne magar, kya tera haal kar diya

           ~~*~~~~~*~~~~
Pabagil sab hai, rihayi ki kare tadbeer kaun
Dast basta sehr mein, khole meri zanjeer kaun

Meri sarr hazir hai, lekin mera munsif dekh le
kar raha hai meri farde jurm ko tahreer kaun
meri chadar tou chini thi, shaam ki tanhayi ne
be ridaayi ko meri phir de gaya tasheer kaun
Need jab khabbon se pyaari hoo, tou aise ahd mein
Khaab dekhe kaun, khaboon ko tabeer kaun

Reth abhi na pichle makaanoon ke na wapas aayi thi
phir labe saahil pe ghironde kar gaya tameer kaun
sarre rishte hijratton mein saath dete hai tou phir
Sehr se jaate hue hota hai daman gir kaun
Dushmanoon ke saath mere dost bhi azzad hai
Dekh na khechta hai mujh pe pehla teer kaun


Pabagil sab hai, rihayi ki kare tadbeer kaun
Dast basta sehr mein, khole meri zanjeer kaun - Parveen shakir!

_________________________________________________________________________________