Thursday, May 27, 2010

Sifar's zindagi


Ya rab kya hai tasalsul -e- zindagi; ajab khel dikhata hai

Gat hai dhobi ke kutte si; na ghar ka na ghat ka ye haal banata hai
Gardish mein musalsil zameer mera; kabhi wadi-e-duniya wa kabhi jannat ki aur chala jaata hai
Wo ek pal tere darbaar mein: samaet loon; phir kasmakash-e-waqt : kai wardatton se darata hai

Ya rab kya hai tasalsul -e- zindagi; ajab khel dikhata hai

Beshakh nahi mera qhalam pabande hurf-e-kibriyai; warna kya baat hai jo jabeen khaak hone se katrata hai
Khud sitaishi aur khud shanasi ka farq barkharaar rakhna mujh mein; Na ho wo qhata jo ruh ko mitti banata hai
Parwaaz dein mere adab o niyaate-ammal ko; yahi wo farq hai jo bande ko khuda se milata hai

Ya rab kya hai tasalsul -e- zindagi; ajab khel dikhata hai

No comments:

Post a Comment